Top

Abdominal Pain

Abdominal Pain

Q:1. Pait ka dard kis jagah per hota hai?

Ans. Pait ka dard Chest ki pasliyoon se ley ker Naaf sy neechy tak hota hai. Hamary pehloon bhi pait me shamil hoty hain. Dard ager hamari dahni taraf (right side) per naaf sy neechy pehloo kitaraf hogi to wo pait ka dard nahi Appendix ka dard ho skta hai jis ki alaamat mein shiddat ka dard k sath dil kharab or ultiyaan ho skti hain jis me Adwiyaat tabdeel ho jaen gi.

Ap pait key dard k mareez ko uski 2 ungliyoon sy dard ki nishaandahi krne ka keh skty hain us sy humein andaza ho jaega k dard kis jaga per ho skta hai.

Agr dard agli taraf pait me or peechli taraf kamar me ho to ye pait ka dard nahi hoga bulky ye koi or bemaari ki taraf ishara krta hai.

Q:2. Pait me dard kyun hota hai?

Ans. Pait me dard Nizaam a Inhezaam k sust honey ki wajah sy ho skta hai. Aantoon me rakawat honey ki waja sy ho skta hai. Qabaz honey ki soorat me ho skta hai. Khuraak key zahreelypan ki wajah sy bhi pait me dard ho skta hai. Boht ziyada thanda ya boht ziada garam cheezien khaney sy pait me dard ho skta hai. Boht ziyada khaana bhi pait k dard ka moajjib ban skta hai. Kisi bemmari key dabb janey se bhi pait ka dard ho skta hai.

Q:3. Hum pait key dard se kaisy bach sakty hain?

Ans. Humein is baat ka touayan kr lena chahye k humara khoraak jaraseemon se paak or saaf hai or zaroori vitamins ke lehaz se achi hai.

  • Humein rozana warzish krni chahye.
  • Harri sabziyaan ziyada istemaal krne chahye.
  • Subah ki sair lazmi krni chahye.
  • Junk food sy bachna chahye.
  • Baasi khana nahi khana chahye.

Q:4. Pait k dard ka elaaj kya ho sakta hai?

Ans. Pait key dard 2 qsm key hoty hain,

  1. Khaali pait
  2. Khaney k bad ka dard.

Qudarti elaaj

  1. Podeeny ka kehwa Peeny se pait ka dard khatam ho skta hai. Podeeny ka kehwa Maidy kay pathoon ko relax kerta hai or bile k bahao ko theek krta hai jo kay khoraak ko theek se hazam krne me madad krta hai. Ye khaas tor pe un logoon k liye faidamand hota hai jo hazam ki kharabi or gas kay masly sy dochaar hon.
  2. Lemoon pani pait key dard k liye boht faidamand hota hai ager dard badhazmi ki wajah sy ho! Lemoon pani maidy me tahreek paida krta hai or tezaabiyat ko khatam krta hai jis ki waja se pait ka dard khatam ho skta hai iska aik bara faida ye bhi hai k ye Dehydration sy bachaata hai jis se jism achy sy kaam kerta hai.

Identrix Kit se Elaaj

  • Ager dard khaali pait ho yaani khana khaney sy pehly ho to Identrix ki kit ki Dawa ID45X 15 minutes k waqfy se 3 dafa dey kar phir Suba dopehr or sham ko 3 din tak aik aik goli den.
  • Agr pait ka dard khana khaney k bad ho to Identrix kit ki ID31X dawa 15 minutes k waqfy se 3 dafa den or phir suba dopehr or sham ko aik goli 3 din tak den.
No Comments

Post a Comment